Rauf Raza

ye meri ruh siyah raat mein nikli hai kahan

Rauf Raza

Amroha, Uttar pradesh, India

1956-2016
ye mirī ruuh siyah raat meñ niklī hai kahāñ
badan-e-ishq se aage koī bastī hai kahāñ
tum ne nazrāne guzāre the kahāñ baañT diye
saath jo umr gizārī thī vo rakh dī hai kahāñ
mere a.asāb pe lahrātī huī shāḳh-e-gulāb
aaj vo haath hilātī huī laḌkī hai kahāñ
ek hī chāñd ko taktā huā be-nām paḌos
ek hī chāñd dikhātī huī khiḌkī hai kahāñ
naf.a o nuqsān se muñh moḌe hue baiThī hai
merī maġhrūr tamannā mirī suntī hai kahāñ
pahle sar kī ye shikāyat thī falak ūñchā hai
ab mire paañv ye kahte haiñ ki dhartī hai kahāñ
Top Urdushayar.com