bahut ḳhūbiyāñ haiñ havas-kār dil meñ
nayā shor machtā hai har baar dil meñ
badan ko kaso aur bas muskurā do
utar jaao ab āḳhirī baar dil meñ
abhī mere chehre kī rañgat alag thī
abhī ho rahī hai dhuāñ-dār dil meñ
na.e chāñd par ab ke sadqa kareñge
salāmat raheñ sab gul o ḳhaar dil meñ
hameñ rizq kī kuchh zarūrat paḌegī
duā pak rahī hai gunahgār dil meñ
azāneñ huiiñ sub.h raushan huī hai
chalo chal ke so.eñ isī yaar dil meñ
maiñ jaise hī us kī galī ko muḌā huuñ
na dil jeb meñ hai na dildār dil meñ
zamīñ kī chaTā.ī vo patthar kā takiya
ḳharīdār dil meñ na bāzār dil meñ
mahaktā subuk sā uḌā jā rahā huuñ
juTā hī liye saare aġhyār dil meñ
ise kuchh na hone kā kitnā yaqīñ hai
chhupā kar rakho ye kalā-kār dil meñ
'razā' āzmāyā huā hai purānā
chalo yaar ghar ko chalo yaar dil meñ