rah-e-hayāt meñ bas vo qadam baḌhā ke chale
diye lahū ke sar-e-rāh jo jalā ke chale
guloñ ko pyaar kyā aur gale lagā ke chale
chaman meñ ḳhāroñ se dāman na ham bachā ke chale
patā chalā na masāfat kā pā ga.e manzil
qadam se jab bhī qadam dosto milā ke chale
nahīñ haiñ vāqif-e-asrār-e-lazzat-e-manzil
jo rāh-e-shauq se kāñTe haTā haTā ke chale
hazār ḳhaar haiñ dāman ko thāmne vaale
hamāre haath se āñchal jo tum chhuḌā ke chale
vo guzreñ shauq se be-ḳhauf o be-ḳhatar 'sāġhar'
dikhā ke rāsta manzil ko ham batā ke chale