Saghar Khayyami

sari jafaen sare karam yaad aa gae

Saghar Khayyami

Uttar pradesh, India

1936-2008
saarī jafā.eñ saare karam yaad aa ga.e
jaise bhī yaad aa.e hoñ ham yaad aa ga.e
jab bhī kahīñ se pyaar milā yā ḳhushī milī
duniyā ke dard-o-rañj-o-alam yaad aa ga.e
dekhīñ haiñ jab bhī gul ke qarīñ chand titliyāñ
kitne ḳhayāl-o-ḳhvāb baham yaad aa ga.e
likkhā thā tum ne ḳhat meñ ki tum ne bhulā diyā
kyā hādsa huā hai ki ham yaad aa ga.e
pardes meñ jo aa.ī nazar nargisī nigāh
ik bā-vafā ke dīda-e-nam yaad aa ga.e
muddat huī hai bichhḌe hue apne-āp se
dekhā jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
suljhā.īñ jab bhī ziist kī 'sāġhar' ne gutthiyāñ
nāgāh terī zulf ke ḳham yaad aa ga.e
Top Urdushayar.com