jo bhī kuchh achchhā burā honā hai jaldī ho jaa.e
shahr jaage yā mirī niind hī gahrī ho jaa.e
yaar uktā.e hue rahte haiñ aisā kar luuñ
aaj kī shaam koī jhūTī kahānī ho jaa.e
yuuñ bhī ho jaa.e ki bartā huā rasta na mile
koī shab lauT ke ghar jaanā zarūrī ho jaa.e
yaad aa.e to badalne lage ghar kī sūrat
taaq meñ jaltī huī raat purānī ho jaa.e
ham se kyā pūchhte ho shahr ke baare meñ 'razā'
bas koī bhiiḌ jo gūñgī kabhī bahrī ho jaa.e