Bushra Zaidi

shikan-andar-shikan yaad aa gaya hai

Bushra Zaidi

shikan-andar-shikan yaad aa gayā hai
visāl-e-tishna-tan yaad aa gayā hai
ye dasht-e-ārzū kī be-panāhī
ghane sapnoñ kā ban yaad aa gayā hai
mire raste meñ chaTTāneñ bahut haiñ
mujhe ab kohkan yaad aa gayā hai
charāġh-e-uryāñ tan ko bhī bil-āḳhir
havā kā pairahan yaad aa gayā hai
barastī jā rahīñ be-tahāshā
in āñkhoñ ko vatan yaad aa gayā hai
ye kaisā ḳhvāb hai āñkhoñ meñ 'bushrā'
ye kyā dīvāna-pan yaad aa gayā hai
Top Urdushayar.com