Bushra Zaidi

ab ke baras bhi mahka mahka KHwab daricha lagta hai

Bushra Zaidi

ab ke baras bhī mahkā mahkā ḳhvāb darīchā lagtā hai
duniyā chāñd nazar aatī hai sab kuchh achchhā lagtā hai
kyā jaa.eñ ye kaisī duā.eñ in āñkhoñ ne māñgī thiiñ
mujh ko apne kāñdhoñ par bhī us kā chehra lagtā hai
us ko bichhḌe muddat guzrī saarā jīvan biit gayā
vo aa.egā kuchh pūchhegā ab bhī aisā lagtā hai
ab bhī suune man-āñgan meñ yaad ke panchhī uḌte haiñ
ab bhī shāmeñ sajtī haiñ yaañ ab bhī melā lagtā hai
jab mamtā kī āñkhoñ se maiñ duniyā dekhā kartī huuñ
apnā būḌhā baap bhī mujh ko nanhā bachcha lagtā hai
apnī har taḳhlīq hai mujh ko is duniyā meñ sab se aziiz
har ik maañ ko apnā beTā chāñd kā TukḌā lagtā hai
'bushrā' aao lauT chaleñ aur ḳhvāb-nagar meñ kho jaa.eñ
duniyā meñ to sab kuchh apnā dekhā-bhālā lagtā hai
Top Urdushayar.com