Bushra Zaidi

sawad-e-sham se Darta hua nazar aaya

Bushra Zaidi

savād-e-shām se Dartā huā nazar aayā
faroġh-e-mehr bhī martā huā nazar aayā
nasīm-e-sub.h chalī aur fishār-e-rañg-o-bū
kahīñ qarār na kartā huā nazar aayā
zamīñ pe raakh uḌī jab bhī ḳhema-gāhoñ kī
ufuq pe ḳhuun bikhartā huā nazar aayā
har ek phuul dikhā.ī diyā kamān-ba-dast
har ek ḳhaar nikhartā huā nazar aayā
na niiñd aa.ī na koī sitāra-e-kam-ḳhvāb
bulandiyoñ se utartā huā nazar aayā
kabhī kabhī to mirī jalva-gāh-e-hairat meñ
ḳhud aa.ina bhī sañvartā huā nazar aayā
charāġh bujhne lage aur merī āñkhoñ ko
badan meñ koī utartā huā nazar aayā
Top Urdushayar.com