Rauf Raza

nashte par jise aazad kiya hai maine

Rauf Raza

Amroha, Uttar pradesh, India

1956-2016
nāshte par jise āzād kiyā hai maiñ ne
dopahar ke liye irshād kiyā hai maiñ ne
ai mire dil tirī hastī nazar aatī thī kahāñ
tū kahāñ thā tujhe ījād kiyā hai maiñ ne
phuul hī phuul haiñ tā-hadd-e-nazar phuul hī phuul
is ḳharābe ke liye yaad kiyā hai maiñ ne
saare asbāb vahāñ rakkhe haiñ darvāze ke paas
terī jāgīr ko ābād kiyā hai maiñ ne
ḳhaas mauqoñ pe jhalak apnī dikhā sakte haiñ
jin ko sanjīda-e-fariyād kiyā hai maiñ ne
aaj vo bhuul sudhārūñ to sudhārūñ kaise
us ko ruḳhsat ba-dil-e-shād kiyā hai maiñ ne
dillī vāloñ kī zabāñ meñ jise dil kahte haiñ
surḳh añgār thā barbād kiyā hai maiñ ne
Top Urdushayar.com