Neena Sahar

kaise hoti hai shab ki sahar dekhte

Neena Sahar

1966
kaise hotī hai shab kī sahar dekhte
kaash ham bhī kabhī jaag kar dekhte
ḳhvāb kaise utartā hai ehsās meñ
tere shāne pe rakh ke ye sar dekhte
ek ummīd thī muntazir umr bhar
kaash tum bhī kabhī lauT kar dekhte
barf kī jhīnī chādar tale jhiil thī
chhū ke mujh ko kabhī tum agar dekhte
uñgliyāñ un kī letīñ na sannyās to
merī zulfoñ se bhī khel kar dekhte
ek parvāz meñ gir na jaate agar
tere man kā gagan mere par dekhte
band kamroñ ne kholī nahīñ sāñkleñ
varna sajde meñ baiThī 'sahar' dekhte
Top Urdushayar.com