phir tire reshmī lab mujh ko manāne aa.e
pyaas janmoñ kī phir ik baar bujhāne aa.e
yaad se us kī kaho aaj satāne aa.e
ḳhvāb āñkhoñ se, sakūñ dil se churāne aa.e
aaj phir dard ke bāzār saje haiñ yaaro
ashk phir āñkhoñ meñ dūkān lagāne aa.e
tū ne ehsās kī daulat se navāzā thā magar
ziist ke fikr-o-alam hosh uḌāne aa.e
muntazir aaj talak bhī haiñ ki is raat kabhī
tū kisī aur se milne ke bahāne aa.e
kam-sinī mujh meñ yahī soch ke zinda hai 'sahar'
maiñ jo rūThūñ to kabhī tū bhī manāne aa.e