Neena Sahar

koi moajiza hua hai meri be-KHudi se aage

Neena Sahar

1966
koī mo.ajiza huā hai mirī be-ḳhudī se aage
terā ġham nikal gayā hai mirī har ḳhushī se aage
mirī pyaas kā tarāna yuuñ samajh na aa sakegā
mujhe aaj sun ke dekho mirī ḳhāmoshī se aage
maiñ huuñ saañs saañs tanhā maiñ huuñ zarra zarra ghāyal
mujhe paas aa ke dekho mirī dilkashī se aage
vahīñ kal bhī phir mileñge jahāñ aaj mil rahe haiñ
terī raushnī ke pīchhe mirī tīrgī se aage
isī Dar se paḌh na paa.ī maiñ tirā payām jānāñ
kahīñ dil ko chhū na jaa.e mirī bebasī se aage
Top Urdushayar.com