''har tamannā dil se ruḳhsat ho ga.ī''
lījiye fursat hī fursat ho ga.ī
kaun samjhā.e dar-o-dīvār ko
jin ko tere diid kī lat ho ga.ī
ham nahīñ ab bārishoñ ke muntazir
ab hameñ sahrā kī aadat ho ga.ī
sarhadoñ kī bastiyoñ sā dil huā
vahshatoñ kī jin ko aadat ho ga.ī
sāhiloñ par kyā gharoñdoñ kā vajūd
TūTnā hī in kī qismat ho ga.ī
rāhatoñ kī bhī talab baaqī nahīñ
dard se aise mohabbat ho ga.ī