tum bhī is sūkhte tālāb kā chehra dekho
aur phir merī tarah ḳhvāb meñ dariyā dekho
ab ye pathrā.ī huī āñkheñ liye phirte raho
maiñ ne kab tum se kahā thā mujhe itnā dekho
raushnī apnī taraf aatī huī lagtī hai
tum kisī roz mire shahr kā chehra dekho
hazrat-e-ḳhizr to is raah meñ milne se rahe
merī maano to kisī peḌ kā saayā dekho
log masrūf haiñ mausam kī ḳharīdārī meñ
ghar chale jaao 'razā' bhaao ġhazal kā dekho