jab muḳhālif mirā rāz-dāñ ho gayā
rāz-e-sar-basta sab par ayaañ ho gayā
mujh ko ehsās-e-sharmindagī hai bahut
qissa-e-dard kaise bayāñ ho gayā
kitnī hasrat se taktī rahī har ḳhushī
aur dāman mirā dhajjiyāñ ho gayā
mas.ala ban ga.ī fikr tafhīm kā
lafz kā husn bhī rā.egāñ ho gayā
log ye soch ke hī pareshān haiñ
maiñ zamīñ thā to kyuuñ āsmāñ ho gayā
shikva-sanjān-e-tanhā.ī haiñ sab ke sab
merā ġham bhī ġham-e-do-jahāñ ho gayā
peḌ kyā mere āñgan kā 'aḳhtar' girā
log samjhe ki maiñ be-amāñ ho gayā