ik umr bhaTakte rahe ghar hī nahīñ aayā
sāhil kī tamannā thī nazar hī nahīñ aayā
raushan haiñ jahāñ sham-e-mohabbat kī qatāreñ
vo kunj-e-kam-āsār nazar hī nahīñ aayā
maiñ jhuuT ko sachchā.ī ke paikar meñ sajātā
kyā kījiye mujh ko ye hunar hī nahīñ aayā
vo gumbad-e-be-dar thā ki dīvār-e-anā thī
manzar koī bāhar kā nazar hī nahīñ aayā
ik aisā safar bhī mujhe darpesh thā logo
kuchh kaam jahāñ zād-e-safar hī nahīñ aayā
baiThe rahe palkoñ ko bichhā.e sar-e-rāhe
vo jān-e-jahāñ-gasht idhar hī nahīñ aayā
ik pal ko jahāñ baiThā huuñ thak kar kabhī 'aḳhtar'
raste meñ koī aisā shajar hī nahīñ aayā