kahāñ se lā.eñge aañsū azā-dārī ke mausam meñ
bahut kuchh ro chuke ham to adākārī ke mausam meñ
utar ā.ūñgā maiñ bhī zīna-e-hastī se yuuñ ik din
ki jaise rañg-e-ruḳh utre hai nādārī ke mausam meñ
tumhāre ḳhat kabhī paḌhnā kabhī tartīb se rakhnā
ajab mashġhūliyat rahtī hai bekārī ke mausam meñ
ba-juz mere zamāne kī qabā rañgīn kar Daalī
ye kyā tafrīq rakkhī us ne gul-kārī ke mausam meñ
sar-e-barg-e-tamannā marham-e-dīdār kah jaa.eñ
na aa.eñ sāmne mere nigah-dārī ke mausam meñ
tulū-e-mehr se TūTegī un kī niiñd nā-mumkin
jo ḳhvābīda rahā karte haiñ bedārī ke mausam meñ
taras khāte haiñ kyuuñ ahbāb mere haal par 'aḳhtar'
bahut be-chainiyāñ baḌhtī haiñ ġham-ḳhvārī ke mausam meñ