Akhtar Shahjahanpuri

jo zehn-o-dil ke zahrile bahut hain

Akhtar Shahjahanpuri

jo zehn-o-dil ke zahrīle bahut haiñ
vahī bātoñ ke bhī mīThe bahut haiñ
chalo ahl-e-junūñ ke saath ho leñ
yahāñ ahl-e-ḳhirad saste bahut haiñ
mirī be-chehragī par hañsne vaalo
tumhāre aa.ine dhuñdle bahut haiñ
zarā yādoñ ke hī patthar uchhālo
navāh-e-jāñ meñ sannāTe bahut haiñ
tirī bālā-qadī badnām hogī
yahāñ ke bām-o-dar nīche bahut haiñ
shajar be-sāya haiñ sūraj barahna
magar ham azm ke pakke bahut haiñ
karo ab fat.h kā elaan 'aḳhtar'
saroñ se surḳh-rū neze bahut haiñ
Top Urdushayar.com