Akhtar Shahjahanpuri

qismat mein dard hai to dawa hi na launga

Akhtar Shahjahanpuri

qismat meñ dard hai to davā hī na lā.ūñgā
ā.īna-e-yaqīñ pe siyāhī na lā.ūñgā
yā to mire bayān pe munsif yaqīñ kare
yā phir sazā likhe maiñ gavāhī na lā.ūñgā
is daur-e-nā-shanās meñ kuchh bhī kahūñ magar
ab dāstāñ meñ zikr-e-vafā hī na lā.ūñgā
apnoñ se jañg hai to bhale haar jā.ūñ maiñ
lekin maiñ apne saath sipāhī na lā.ūñgā
dosh-e-karam pe baar hai jab harf-e-mudda.ā
phir maiñ zabāñ pe harf-e-duā hī na lā.ūñgā
jab tum saf-e-adū meñ chale jāoge to phir
dil meñ malāl-e-kor-nigāhī na lā.ūñgā
maidān-e-kār-zār meñ 'aḳhtar' kabhī bhī maiñ
ḳhauf-e-sinān-e-zill-e-ilāhī na lā.ūñgā
Top Urdushayar.com