Akhtar Shahjahanpuri

samundar sab ke sab payab se hain

Akhtar Shahjahanpuri

samundar sab ke sab pāyāb se haiñ
kināroñ par magar girdāb se haiñ
tire ḳhat meñ jo ashkoñ ke nishāñ the
vahī ab kirmak-e-shab-tāb se haiñ
chahak uThtā hai sāz-e-zindagānī
tire alfāz bhī mizrāb se haiñ
diloñ meñ karb baḌhtā jā rahā hai
magar chehre abhī shādāb se haiñ
hamāre zaḳhm raushan ho rahe haiñ
masīhā is liye betāb se haiñ
vo jugnū ho sitāra ho ki aañsū
añdhere meñ sabhī mahtāb se haiñ
kabhī nashtar kabhī marham samajhnā
mire ash.ār bhī ahbāb se haiñ
ḳhushī terā muqaddar hogī 'aḳhtar'
ye imkāñ ab ḳhayāl-o-ḳhvāb se haiñ
Top Urdushayar.com