jo qatre meñ samundar dekhte haiñ
tujhe manzar-ba-manzar dekhte haiñ
qabā-e-dard jab se zeb-e-tan hai
ḳhushī ko apne andar dekhte haiñ
chalo amn-o-amāñ hai mai-kade meñ
vahīñ kuchh pal Thahar kar dekhte haiñ
kabhī tanhā.ī ne tanhā na chhoḌā
tamāsha phir bhī ghus kar dekhte haiñ
karam-farmā.ī hai sūraj kī ye bhī
use apne barābar dekhte haiñ
ham apne paañv phailā.eñge 'aḳhtar'
kahāñ tak hai ye chādar dekhte haiñ