jo faqat shoḳhi-e-tahrīr bhī ho saktī hai
vo mire paañv kī zanjīr bhī ho saktī hai
sirf vīrāna hī ġhamgīnī kā baa.is to nahīñ
ahd-e-māzī kī vo tasvīr bhī ho saktī hai
chashm-e-hasrat se jo Tapkī hai lahū kī ik buuñd
sub.h-e-ummīd kī tanvīr bhī ho saktī hai
ranj-o-ġham Thokareñ māyūsī ghuTan be-zārī
mere ḳhvāboñ kī ye ta.abīr bhī ho saktī hai
bad-gumāñ hai to vahī morid-e-ilzām ho kyuuñ
kuchh na kuchh to mirī taqsīr bhī ho saktī hai
hosh qaa.em raheñ tūfān-e-havādis meñ agar
bach nikal jaane kī tadbīr bhī ho saktī hai
tīrgī baḳht kī samjho na use tum 'aḳhtar'
multafit zulf-e-girah-gīr bhī ho saktī hai