Akhtar Shahjahanpuri

rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

Akhtar Shahjahanpuri

rāh-e-vafā meñ koī hameñ jāntā na thā
jab tak diyā hamāre lahū kā jalā na thā
ye mo.ajiza hamāre hī tarz-e-bayāñ kā thā
us ne vo sun liyā thā jo ham ne kahā na thā
jab āshiyāne jal ga.e tab ham-navā hue
gulshan meñ is se pahle koī boltā na thā
tū ḳhud hī qatra qatra pighaltā thā roz-o-shab
shāmil tire zavāl meñ dast-e-duā na thā
shiddat kī dhuup meñ bhī na pighlā mirā vajūd
mujh par tumhārī zulfoñ kā jab shāmiyāna thā
jugnū thā kahkashāñ thā sitāra thā yā guhar
aañsū kisī kī aañkh se jab tak girā na thā
'aḳhtar' gunāh karne se phir roktā thā kaun
maiñ kaise maan luuñ ki vahāñ par ḳhudā na thā
Top Urdushayar.com