Akhtar Shahjahanpuri

agar bulandi ka meri wo etiraf kare

Akhtar Shahjahanpuri

agar bulandī kā merī vo e'tirāf kare
to phir zarūrī hai aa kar yahāñ tavāf kare
diloñ meñ ḳhvāhish-e-dīdār ho to lāzim hai
jo aa.ina bhī mayassar ho us ko saaf kare
rahūñgā maiñ to hamesha qasīda-ḳhvāñ us kā
zamīñ falak se bhalā kaise iḳhtilāf kare
hisār-e-zāt se bāhar nikalnā ho jis ko
anā kī āhanī dīvār meñ shigāf kare
jahāñ bhī qadr-shanāsī meñ kuchh kamī dekhe
vahāñ zarūrī hai ḳhud bhī kuchh inkishāf kare
purāne vaqtoñ ke kuchh log ab bhī kahte haiñ
baḌā vahī hai jo dushman ko bhī muaaf kare
vo merā dost bhī munsif bhī hai magar 'aḳhtar'
har ek faisla mere hī kyuuñ ḳhilāf kare
Top Urdushayar.com