Akhtar Shahjahanpuri

dil bahalne ke wasile de gaya wo

Akhtar Shahjahanpuri

dil bahalne ke vasīle de gayā vo
apnī yādoñ ke khilaune de gayā vo
ham-suḳhan tanhā.iyoñ meñ koī to ho
suune suune se darīche de gayā vo
le gayā merī ḳhudī merī anā bhī
ai jabīn-e-shauq sajde de gayā vo
ranj-o-ġham sahne kī aadat ho ga.ī hai
zinda rahne ke salīqe de gayā vo
merī himmat jāntā thā is liye bhī
Dūbne vaale safīne de gayā vo
zindagī bhar joḌte rahnā hai in ko
TuuTī zanjīroñ se rishte de gayā vo
zar-fishāñ har lafz zarrīñ har varaq hai
'aḳhtar' aise kuchh sahīfe de gayā vo
Top Urdushayar.com