yārān-e-tez-gām se ranjish kahāñ hai ab
manzil pe jā pahuñchne kī ḳhvāhish kahāñ hai ab
zindāñ meñ din bhī raat hī jaisā guzar gayā
ahl-e-junūñ vo pahlī sī shorish kahāñ hai ab
jām-e-sharāb ab to mire sāmne na rakh
āñkhoñ meñ nuur haath meñ jumbish kahāñ hai ab
halqa-ba-gosh koī na ab yaar hai yahāñ
vo roz-o-shab kī dād-o-satā.ish kahāñ hai ab
jiine kā haq jo māñgā to tevar badal ga.e
vo mere muhsinoñ kī navāzish kahāñ hai ab
chehre pe gard-e-umr-e-ravāñ kā zuhūr hai
bāñhoñ ke baale bosoñ kī bārish kahāñ hai ab
ḳhanjar ho yā ki dashna ho yā teġh yā qalam
'aḳhtar' vo aab aur vo burrish kahāñ hai ab