isī bikhre hue lahje pe guzāre jaao
varna mumkin hai ki chup rahne se maare jaao
Dūbnā hai to chhalaktī huī āñkheñ DhūñDho
yā kisī Dūbte dariyā ke kināre jaao
vo ye kahte haiñ sadā ho to tumhāre jaisī
is kā matlab to yahī hai ki pukāre jaao
tum hī kahte the 'razā' farq-e-duī ḳhatm karo
jaao ab apnī hī tasvīr nihāre jaao