Qayyum Nazar

mathe par Tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
māthe par Tiikā sandal kā ab dil ke kāran rahtā hai
mandir meñ masjid bantī hai masjid meñ barhaman rahtā hai
zarre meñ sūraj aur sūraj meñ zarre raushan rahtā hai
ab man meñ sājan rahte haiñ aur sājan meñ man rahtā hai
rut biit chukī hai barkhā kī aur priit ke maare rahte haiñ
rote haiñ rone vāloñ kī āñkhoñ meñ sāvan rahtā hai
ik aah nishānī jiine kī rahtī thī magar jab vo bhī nahīñ
kyuuñ dukh kī maalā japne ko ye tinkā sā tan rahtā hai
ai mujh par hañsne aur kisī ko dekhne vaale ye to kaho
yuuñ kab tak jaan pe bantī hai yuuñ kab tak joban rahtā hai
dil toḌ ke jaane vaale sun do aur bhī rishte baaqī haiñ
ik saañs kī Dorī aTkī hai ik prem kā bandhan rahtā hai
Top Urdushayar.com