Qayyum Nazar

chaman-bandi pe hai mahshar bapa kya

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
chaman-bandī pe hai mahshar bapā kyā
khile haiñ gul uḌī hai ḳhaak kyā kyā
shahīdān-e-vafā bhī jī uTheñge
koī jaadū jagā ab pūchhnā kyā
ḳhirām-e-nāz mauzūñ hai tujhī ko
uThī aThkheliyāñ kartī sabā kyā
fasād-e-īñ-o-āñ hai kis ke dam se
kaheñge aur tujh se barmalā kyā
qayāmat hai ki vo yuuñ bhī haiñ nā-ḳhush
duā meñ bhī thā harf-e-mudda.ā kyā
fareb-e-āgahī ne maar Daalā
ḳhudā kyā nāḳhudā kyā aur kyā kyā
yahī uḌtā huā lamha rahegā
abas hai ibtidā kyā intihā kyā
ġhubār-e-kahkashāñ chhaT bhī gayā to
kahīñ le jā.egā ye rāsta kyā
'nazar' is kaifiyat se kaun nikle
huā vo āshnā nā-āshnā kyā
Top Urdushayar.com