Qayyum Nazar

KHwahishon ki maut ka yaro bhala chaha karo

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
ḳhvāhishoñ kī maut kā yaaro bhalā chāhā karo
phailtī tārīkiyoñ meñ chāñd kā charchā karo
be-mahābā jam hī jaa.eñ dard kī jab mahfileñ
apne ġham ko shahr-e-baḳht-e-nā-rasā samjhā karo
lahlahātī vādiyoñ se ḳhūb-tar haiñ reg-zār
dil ke sahrā meñ gulistāñ kī fazā paidā karo
rañj kī gahrā.iyoñ kī tah ko paane ke liye
dostoñ kī dushmanī ko bhī atā jaanā karo
āqibat kī fikr nā-dānoñ kā hissa hī sahī
āqibat ke tazkire par barmalā royā karo
talḳh-tar ho zindagī to lutf de shāyad sivā
nā-shanāsāoñ kī ḳhātir āshnā DhūñDā karo
kyā se kyā shakleñ dikhātā hai fareb-e-āgahī
dasht-e-imkāñ se koī zarra uThā laayā karo
azmat-e-insāñ ke dukh meñ ghul rahā hai ahd-e-nau
is masīhā ke liye mil kar duā māñgā karo
ḳharch uThtā hī nahīñ aur rañg laatā hai ġhazab
be-gunah ke ḳhuuñ se bhī qashqa zarā khīñchā karo
ḳhaak uḌtī hai ki raushan husn kā āñchal huā
chehra-e-gītī ba-sad-bīm-o-rajā dekhā karo
Top Urdushayar.com