Qayyum Nazar

wo kahan mujh pe jafa karta tha

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
vo kahāñ mujh pe jafā kartā thā
jo muqaddar thā milā kartā thā
aaj sharmātā hai sūraj us se
vo jo tāroñ se hayā kartā thā
sochtā huuñ to hañsī aatī hai
sāmne us ke maiñ kyā kartā thā
maiñ paḌā rahtā thā uftādgī se
jāda-e-shauq chalā kartā thā
yaad aayā hai ki ḳhush-bāshī ko
ġham kā afshurda piyā kartā thā
gard-e-rah ban ke jo yuuñ baiThā huuñ
sūrat-e-sho.ala uThā kartā thā
dil se ik huuk bhī ab uThtī nahīñ
dil ki hañgāma bapā kartā thā
manziloñ tak hai kaḌī dhuup khaḌī
maiñ bhī saa.e meñ chalā kartā thā
ab vo marne kī uḌāte haiñ ḳhabar
jin pe marne ko jiyā kartā thā
vo bhī milte the kabhī mujh se 'nazar'
kabhī aisā bhī huā kartā thā
Top Urdushayar.com