Qayyum Nazar

aap kyun chheDte hain dipak rag

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
aap kyuuñ chheḌte haiñ dīpak raag
shahar meñ lag rahī hai ḳhud hī aag
uTh rahā hai harīm-e-dil se dhuāñ
luT rahā hai suhāganoñ kā suhāg
sho.ala-sāmāñ huī hai tārīkī
kaise jaage haiñ raushnī ke bhaag
jaane kis kis havas ko deñge janam
botaloñ ke uḌā chuke jo kaag
laag meñ thī kabhī lagāv kī shaan
ab laboñ meñ lagāv kī hai laag
kaf-e-dariyā kā dekhiye anjām
be-sabab lā.iye na muñh jhaag
jaate lamhe duhā.ī dete haiñ
na.e atvār ke tarīq pe jaag
muskurātā hai khet sarsoñ kā
toḌtī haiñ jo gaañv vāliyāñ saag
sarkañDoñ meñ hai keñchulī aTkī
kahīñ lahrā ke chhup gayā hai naag
chāñd par jo kamand Dālte haiñ
mujh se kahte haiñ zindagī bhī tyaag
Top Urdushayar.com