in kī jab nukta-varī yaad aa.ī
apnī hī be-ḳhabarī yaad aa.ī
yaad aa.ī bhī to yuuñ ahd-e-vafā
aah kī be-asarī yaad aa.ī
aaj kyuuñ un ko ba-āġhosh-e-raqīb
merī hī ham-asarī yaad aa.ī
dil ne phir vaqt se laḌnā chāhā
phir vahī dard-bharī yaad aa.ī
apnā siina huā raushan to unheñ
husn kī kam-nazarī yaad aa.ī
jab bhī dhyān aayā kahīñ manzil kā
raah kī shab-basarī yaad aa.ī
kis ko hāsil hai dimāġh-e-nāla
be-sabab be-hunarī yaad aa.ī
dekh kar be-dilī-e-shauq kā rañg
apnī āshufta-sarī yaad aa.ī
us pe kyā guzrī jo is aalam meñ
phuul ko jāma-darī yaad aa.ī
baaġh kā haal vo dekhā hai 'nazar'
shāḳh thī jo bhī harī yaad aa.ī