kyuuñ baiTh ga.e ġhubār se ham
kuchh kah na sake bahār se ham
ye zindagī umr bhar kā ronā
ghabrā ga.e intizār se ham
vo jabr kī lazzatoñ kā aalam
baaz aa.e is iḳhtiyār se ham
hañste haiñ ki hañs sake zamāna
ḳhush haiñ to is e'tibār se ham
yuuñ bhī to sukūñ milā hai barsoñ
phirte rahe be-qarār se ham
vo lamha hai aaj tak gurezāñ
jab tum se the ham-kanār se ham
ab āḳhir-e-shab 'nazar' hai shāyad
phir jaise haiñ hoshiyār se ham