Qayyum Nazar

dhundla diya zist ka tasawwur

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
dhuñdlā diyā ziist kā tasavvur
apnī āñkhoñ hī kī namī ne
haivān-sifat huā hai āḳhir
dikhlāyā kamāl aadmī ne
kī dostī bhī to dushmanī se
jaanā na unheñ magar hamīñ ne
gāḌhe kī to khaal khīñch Daalī
raat un ke jamāl-e-reshmīñ ne
sho.aloñ se bujhā.ī pyaas jī kī
yāroñ ke mizāj-e-balġhamīñ ne
ye zohra ye mushtarī ye mahtāb
kyā kyā na milīñ na.ī zamīneñ
miT kar bhī ġhubār-e-kahkashāñ haiñ
chamkā diyā kis kī hamdamī ne
jo gul sar-e-arsh bhī na khilte
vo gul bhī khilā diye zamīñ ne
shāyad ki talab kiyā 'nazar' ko
ka.abe meñ rasūl-e-hāshmī ne
Top Urdushayar.com