Qayyum Nazar

shahar mein rang hai na KHushbu hai

Qayyum Nazar

Lahore, Punjab, Pakistan

1914-1989
shahar meñ rañg hai na ḳhushbū hai
phir bhī charchā usī kā har-sū hai
bah rahā hai muhīb sannāTā
pā-ba-gil sabza-e-lab-e-jū hai
ghup añdhere kā jal rahā hai charāġh
raushnī kā ajiib jaadū hai
be-dilī hai nasīb-e-dām-e-ḳhayāl
aarzū ik ramīda aahū hai
sīna-e-sañg par TheThurtā huā
shāḳh-e-gul kā gudāz pahlū hai
shiddat-e-karb se niDhāl nahīñ
aañkh meñ jam gayā jo aañsū hai
ek zarra nahīñ jo mil jaa.e
aur bapā mahshar-e-tagāpū hai
dard ne baḌh ke āshkār kiyā
maut par zindagī kā qaabū hai
mujh ko dekheñ 'nazar' jo kahte haiñ
ādmī, aadmī kā daarū hai
Top Urdushayar.com