kab se ham log is bhañvar meñ haiñ
apne ghar meñ haiñ yā safar meñ haiñ
yuuñ to uḌne ko āsmāñ haiñ bahut
ham hī āshob-e-bāl-o-par meñ haiñ
zindagī ke tamām-tar raste
maut hī ke aziim Dar meñ haiñ
itne ḳhadshe nahīñ haiñ rastoñ meñ
jis qadar ḳhvāhish-e-safar meñ haiñ
siip aur jauharī ke sab rishte
sher aur sher ke hunar meñ haiñ
sāya-e-rāhat-e-shajar se nikal
kuchh uḌāneñ jo bāl-o-par meñ haiñ
aks be-naqsh ho ga.e 'amjad'
log phir ā.inoñ ke Dar meñ haiñ