Amjad Islam Amjad

nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
nikal ke halqa-e-shām-o-sahar se jaa.eñ kahīñ
zamīñ ke saath na mil jaa.eñ ye ḳhalā.eñ kahīñ
safar kī raat hai pichhlī kahāniyāñ na kaho
rutoñ ke saath palaTtī haiñ kab havā.eñ kahīñ
fazā meñ tairte rahte haiñ naqsh se kyā kyā
mujhe talāsh na kartī hoñ ye balā.eñ kahīñ
havā hai tez charāġh-e-vafā kā zikr to kyā
tanābeñ ḳhema-e-jāñ kī na TuuT jaa.eñ kahīñ
maiñ os ban ke gul-e-harf par chamaktā huuñ
nikalne vaalā hai sūraj mujhe chhupā.eñ kahīñ
mire vajūd pe utrī haiñ lafz kī sūrat
bhaTak rahī thiiñ ḳhalāoñ meñ ye sadā.eñ kahīñ
havā kā lams hai paañv meñ beḌiyoñ kī tarah
shafaq kī aañch se āñkheñ pighal na jaa.eñ kahīñ
rukā huā hai sitāroñ kā kārvāñ 'amjad'
charāġh apne lahū se hī ab jalā.eñ kahīñ
Top Urdushayar.com