Amjad Islam Amjad

bhiD mein ek ajnabi ka samna achchha laga

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
bhiiḌ meñ ik ajnabī kā sāmnā achchhā lagā
sab se chhup kar vo kisī kā dekhnā achchhā lagā
surma.ī āñkhoñ ke nīche phuul se khilne lage
kahte kahte kuchh kisī kā sochnā achchhā lagā
baat to kuchh bhī nahīñ thiiñ lekin us kā ek dam
haath ko hoñToñ pe rakh kar roknā achchhā lagā
chaa.e meñ chīnī milānā us ghaḌī bhāyā bahut
zer-e-lab vo muskurātā shukriya achchhā lagā
dil meñ kitne ahd bāñdhe the bhulāne ke use
vo milā to sab irāde toḌnā achchhā lagā
be-irāda lams kī vo sansanī pyārī lagī
kam tavajjoh aañkh kā vo dekhnā achchhā lagā
nīm-shab kī ḳhāmoshī meñ bhīgtī saḌkoñ pe kal
terī yādoñ ke jilau meñ ghūmnā achchhā lagā
is adū-e-jāñ ko 'amjad' maiñ burā kaise kahūñ
jab bhī aayā sāmne vo bevafā achchhā lagā
Top Urdushayar.com