zindagānī jāvedānī bhī nahīñ
lekin is kā koī saanī bhī nahīñ
hai savā-neze pe sūraj kā alam
tere ġham kī sā.ebānī bhī nahīñ
manzileñ hī manzileñ haiñ har taraf
rāste kī ik nishānī bhī nahīñ
aa.ine kī aañkh meñ ab ke baras
koī aks-e-mehrbānī bhī nahīñ
aañkh bhī apnī sarāb-ālūd hai
aur is dariyā meñ paanī bhī nahīñ
juz tahayyur gard-bād-e-zīst meñ
koī manzar ġhair-fānī bhī nahīñ
dard ko dilkash banā.eñ kis tarah
dāstān-e-ġham kahānī bhī nahīñ
yuuñ luTā hai gulshan-e-vahm-o-gumāñ
koī ḳhār-e-bad-gumānī bhī nahīñ