havā hī lau ko ghaTātī vahī baḌhātī hai
ye kis gumān meñ duniyā diye jalātī hai
bhaTakne vāloñ ko kyā farq is se paḌtā hai
safar meñ kaun saḌak kis taraf ko jaatī hai
ajiib ḳhauf kā gumbad hai mere chār-taraf
mirī sadā mire kānoñ meñ lauT aatī hai
vo jis bhī raah se guzre jahāñ qayām kare
zamīñ vahāñ kī sitāroñ se bhartī jaatī hai
ye zindagī bhī kahīñ ho na shahar-zād kā ruup
shabāna roz kahānī na.ī sunātī hai