Amjad Islam Amjad

apne ghar ki khiDki se main aasman ko dekhunga

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
apne ghar kī khiḌkī se maiñ āsmān ko dekhūñgā
jis par terā naam likhā hai us taare ko DhūñDūñgā
tum bhī har shab diyā jalā kar palkoñ kī dahlīz pe rakhnā
maiñ bhī roz ik ḳhvāb tumhāre shahr kī jānib bhejūñgā
hijr ke dariyā meñ tum paḌhnā lahroñ kī tahrīreñ bhī
paanī kī har satr pe maiñ kuchh dil kī bāteñ likhūñgā
jis tanhā se peḌ ke nīche ham bārish meñ bhīge the
tum bhī us ko chhū ke guzarnā maiñ bhī us se lipTūñgā
ḳhvāb musāfir lamhoñ ke haiñ saath kahāñ tak jā.eñge
tum ne bilkul Thiik kahā hai maiñ bhī ab kuchh sochūñgā
bādal oḌh ke guzrūñgā maiñ tere ghar ke āñgan se
qaus-e-quzah ke sab rañgoñ meñ tujh ko bhīgā dekhūñgā
be-mausam bārish kī sūrat der talak aur duur talak
tere dayār-e-husn pe maiñ bhī kin-min kin-min barsūñgā
sharm se dohrā ho jā.egā kaan paḌā vo bundā bhī
bād-e-sabā ke lahje meñ ik baat meñ aisī pūchhūñgā
safha safha ek kitāb-e-husn sī khultī jā.egī
aur usī kī lai meñ phir maiñ tum ko azbar kar lūñgā
vaqt ke ik kañkar ne jis ko aksoñ meñ taqsīm kiyā
āb-e-ravāñ meñ kaise 'amjad' ab vo chehrā joḌūñgā
Top Urdushayar.com