ek āzār huī jaatī hai shohrat ham ko
ḳhud se milne kī bhī miltī nahīñ fursat ham ko
raushnī kā ye musāfir hai rah-e-jāñ kā nahīñ
apne saa.e se bhī hone lagī vahshat ham ko
aañkh ab kis se tahayyur kā tamāshā māñge
apne hone pe bhī hotī nahīñ hairat ham ko
ab ke ummīd ke shole se bhī āñkheñ na jalīñ
jaane kis moḌ pe le aa.ī mohabbat ham ko
kaun sī rut hai zamāne meñ hameñ kyā mālūm
apne dāman meñ liye phirtī hai hasrat ham ko
zaḳhm ye vasl ke marham se bhī shāyad na bhare
hijr meñ aisī milī ab ke masāfat ham ko
dāġh-e-isyāñ to kisī taur na chhupte 'amjad'
Dhāñp letī na agar chādar-e-rahmat ham ko