kahāñ aa ke rukne the rāste kahāñ moḌ thā use bhuul jā
vo jo mil gayā use yaad rakh jo nahīñ milā use bhuul jā
vo tire nasīb kī bārisheñ kisī aur chhat pe baras ga.iiñ
dil-e-be-ḳhabar mirī baat sun use bhuul jā use bhuul jā
maiñ to gum thā tere hī dhyān meñ tirī aas tere gumān meñ
sabā kah ga.ī mire kaan meñ mire saath aa use bhuul jā
kisī aañkh meñ nahīñ ashk-e-ġham tire ba.ad kuchh bhī nahīñ hai kam
tujhe zindagī ne bhulā diyā tū bhī muskurā use bhuul jā
kahīñ chāk-e-jāñ kā rafū nahīñ kisī āstīñ pe lahū nahīñ
ki shahīd-e-rāh-e-malāl kā nahīñ ḳhūñ-bahā use bhuul jā
kyuuñ aTā huā hai ġhubār meñ ġham-e-zindagī ke fishār meñ
vo jo dard thā tire baḳht meñ so vo ho gayā use bhuul jā
tujhe chāñd ban ke milā thā jo tire sāhiloñ pe khilā thā jo
vo thā ek dariyā visāl kā so utar gayā use bhuul jā