Amjad Islam Amjad

palkon ki dahliz pe chamka ek sitara tha

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
palkoñ kī dahlīz pe chamkā ek sitārā thā
sāhil kī is bhiiḌ meñ jaane kaun hamārā thā
kohsāroñ kī guuñj kī sūrat phail gayā hai vo
maiñ ne apne-āp meñ chhup kar jise pukārā thā
sar se guzartī har ik mauj ko aise dekhte haiñ
jaise is girdāb-e-fanā meñ yahī sahārā thā
hijr kī shab vo niilī āñkheñ aur bhī niilī thiiñ
jaise us ne apne sar se bojh utārā thā
jis kī jhilmiltā meñ tum ne mujh ko qatl kiyā
patjhaḌ kī us raat vo sab se raushan taarā thā
tark-e-vafā ke ba.ad milā to jab ma.alūm huā
is meñ kitne rañg the us ke kaun hamārā thā
kaun kahāñ par jhūTā niklā kyā batlāte ham
duniyā kī tafrīh thī is meñ hameñ ḳhasārā thā
jo manzil bhī raah meñ aa.ī dil kā bojh banī
vo us kī ta.abīr na thī jo ḳhvāb hamārā thā
ye kaisī āvāz hai jis kī zinda guuñj huuñ maiñ
sub.h-e-azal meñ kis ne 'amjad' mujhe pukārā thā
Top Urdushayar.com