Amjad Islam Amjad

lahu mein rang lahrane lage hain

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
lahū meñ rañg lahrāne lage haiñ
zamāne ḳhud ko dohrāne lage haiñ
paroñ meñ le ke be-hāsil uḌāneñ
parinde lauT kar aane lage haiñ
kahāñ hai qāfila bād-e-sabā kā
diloñ ke phuul murjhāne lage haiñ
khule jo ham-nashīnoñ ke garebāñ
ḳhud apne zaḳhm afsāne lage haiñ
kuchh aisā dard thā bāñg-e-jaras meñ
safar se qabl pachhtāne lage haiñ
kuchh aisī be-yaqīnī thī fazā meñ
jo apne the vo begāne lage haiñ
havā kā rañg niilā ho rahā hai
chaman meñ saañp lahrāne lage haiñ
falak ke khet meñ khilte sitāre
zamīñ par aag barsāne lage haiñ
lab-e-zanjīr hai ta.abīr jin kī
vo sapne phir nazar aane lage haiñ
khulā hai raat kā tārīk jañgal
aur andhe raah dikhlāne lage haiñ
chaman kī baaḌ thī jin kā Thikāna
dil shabnam ko dhaḌkāne lage haiñ
bachāne aa.e the dīvār lekin
imārat hī ko ab Dhāne lage haiñ
ḳhudā kā ghar tumhīñ samjho to samjho
hameñ to ye sanam-ḳhāne lage haiñ
Top Urdushayar.com