agarche koī bhī andhā nahīñ thā
likhā dīvār kā paḌhtā nahīñ thā
kuchh aisī barf thī us kī nazar meñ
guzarne ke liye rasta nahīñ thā
tumhī ne kaun sī achchhā.ī kī hai
chalo maanā ki maiñ achchhā nahīñ thā
khulī āñkhoñ se saarī umr dekhā
ik aisā ḳhvāb jo apnā nahīñ thā
maiñ us kī anjuman meñ thā akelā
kisī ne bhī mujhe dekhā nahīñ thā
sahar ke vaqt kaise chhoḌ jaatā
tumhārī yaad thī sapnā nahīñ thā
khaḌī thī raat khiḌkī ke sirhāne
darīche meñ vo chāñd utrā nahīñ thā
diloñ meñ girne vaale ashk chuntā
kahīñ ik jauharī aisā nahīñ thā
kuchh aisī dhuup thī un ke saroñ par
ḳhudā jaise ġharīboñ kā nahīñ thā
abhī harfoñ meñ rañg aate kahāñ se
abhī maiñ ne use likkhā nahīñ thā
thī puurī shakl us kī yaad mujh ko
magar maiñ ne use dekhā nahīñ thā
barahna ḳhvāb the sūraj ke nīche
kisī ummīd kā pardā nahīñ thā
hai 'amjad' aaj tak vo shaḳhs dil meñ
ki jo us vaqt bhī merā nahīñ thā