dām-e-ḳhushbū meñ giraftār sabā hai kab se
lafz iz.hār kī uljhan meñ paḌā hai kab se
ai kaḌī chup ke dar o baam sajāne vaale
muntazir koī sar-e-koh-e-nidā hai kab se
chāñd bhī merī tarah husn-shanāsā niklā
us kī dīvār pe hairān khaḌā hai kab se
baat kartā huuñ to lafzoñ se mahak aatī hai
koī anfās ke parde meñ chhupā hai kab se
shobada-bāzi-e-ā.īna-e-ehsās na pūchh
hairat-e-chashm vahī shoḳh qabā hai kab se
dekhiye ḳhuun kī barsāt kahāñ hotī hai
shahr par chhā.ī huī surḳh ghaTā hai kab se
kor-chashmoñ ke liye ā.īna-ḳhāna mālūm
varna har zarra tirā aks-numā hai kab se
khoj meñ kis kī bharā shahr lagā hai 'amjad'
DhūñDtī kis ko sar-e-dasht havā hai kab se