yaad ke sahrā meñ kuchh to zindagī aa.e nazar
sochtā huuñ ab banā luuñ ret se hī koī ghar
kis qadar yādeñ ubhar aa.ī haiñ tere naam se
ek patthar pheñkne se paḌ ga.e kitne bhañvar
vaqt ke andhe kuñ.eñ meñ pal rahī hai zindagī
ai mire husn-e-taḳhyyul baam se nīche utar
tū asīr-e-ābrū-e-sheva-e-pindār-e-husn
maiñ giraftār-e-nigāh-e-zindagī-e-muḳhtasar
zabt ke qarye meñ 'amjad' dekhiye kaise kaTe
soch kī suunī saḌak par yaad kā lambā safar