Amjad Islam Amjad

kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte

Amjad Islam Amjad

Sialkot, Punjab, Pakistan

1944
kabhī raqs-e-shām-e-bahār meñ use dekhte
kabhī ḳhvāhishoñ ke ġhubār meñ use dekhte
magar ek najm-e-sahar-numā kahīñ jāgtā
tire hijr kī shab-e-tār meñ use dekhte
vo thā ek aks-e-gurez-pā so nahīñ rukā
kaTī umr dasht o dayār meñ use dekhte
vo jo bazm meñ rahā be-ḳhabar koī aur thā
shab-e-vasl mere kanār meñ use dekhte
jo azal kī lauh pe naqsh thā vahī aks thā
kabhī aap qarya-e-dār meñ use dekhte
vo jo kā.enāt kā nuur thā nahīñ duur thā
magar apne qurb-o-javār meñ use dekhte
yahī ab jo hai yahāñ naġhma-ḳhvāñ yahī ḳhush-bayāñ
kisī shaam kū-e-nigār meñ use dekhte
Top Urdushayar.com